Monday, January 18, 2010

ramblings

deewangee, ka mujib hai kia?
aawargee, ko ghar mil gaya
dooree meray, aas paas thee
anjan wo, mehram tha mera
behka naheen, tha main behkaya gaya
deta raha dhoka bazeegar khola

dhoonda bara, par milnay ka hai dar
gar mil gaya, kho jae na kaheen
anhonee ko, hai honay kee fikar
jo na hooa, ho jae na kaheen
chahta hoon main kay main chahta hoon jisay
chahe jo ho mujh ko, wo chahay naheen

jhoota hai yeh, sacha wo bhi naheen
mulla koee hai munkar hai koee
zahir hai yeh, hai zahir kuch naheen
nazir hai jo, hai manzar bhee wohee
piasay ko hai bus peenay say gharaz
zam zam naheen, maikhana hee sahee

-raffay.