Tuesday, February 27, 2007

sad shukria

mood: nostalgic, poignant
music: yan tiersen - le moulin

tum aae to, main ji utha
muskae to, main hans dia
tum jab chaley, main chal para
jab tum rukay, main mar gaya
kaisay kahoon, main shukria

jo bhi kaha, jo bhi suna
sach tha sabhi, sab jhoot tha
jo bhi kia, jo bhi hua
acha sabhi, tha sab bura
kaisay kahoon, main shukria

jeenay ka hunar, marnay ka hosla
panay kee kushi, khonay ka saniha
bus tum hee to ho

meri saza, meri jaza
jo hai zehar, hai wo dawa
jeenay ka gham, gham ka maza
har khamoshi, kee har sada
kaisay kahoon, main shukria

-raffay